Tuesday, June 3, 2014

Lamhon ne sadiyon ki shakl ikhtiyaar kar li,
Phir bhi tum yaad aate ho kya karein..
Phasle milon ke ho gaye hamare darmayaan,

Phir bhi tum yaad aate ho kya karein..

Humne soncha tha waqt ke aage thahar na paayega humara pyaar,
Phir bhi tum yaad aate ho kya karein..
Har roz na jaane kitne khwahishein qatla karta aaya hoon main,
Phir bhi tum yaad aate ho kya karein..

Zindagi ki zaruraton mein mashgul rakhta hoon khudko,
Phir bhi tum yaad aate ho kya karein...
Zakhmon ko naasoor bana kar dard ka maza lete hoon main,
Phir bhi tum yaad aate ho kya karein..

Bewafa tab tha ya ab hoon sonchta rehta hoon main,
Phir bhi tum yaad aate ho kyun...
Lahoo ris ris kar jism ko bezaar kar chala hai ab,
Phir bhi tum yaad aate ho kyun...